One Upon A Time.. There Was A Prince.. And A Princess..
          







KAHAANI KHATAM HUI AUR AYSI KHATAM HUI
KE LOOG RONAI LAGAY TAALIAN BJAATR HUAY


Mera Dil Kehta Hai Ke...

Saath Guzra Hua Ek Pal Tak Na Bhulaea Ho Ga

Meri Yaadon Nain Usse Bhi Khoob Rulaya Ho Ga

Baat Be Baat Aankh Us Ki Bhi Jo Chalki Ho Gi

Us Ne B Chehre Ko Meri Tara Chupaya Ho Ga

Socha Ho Ga Us Nai  B Din Main Kai Baar Muje

Naam Hatheli Pe B Likh Likh Ke Mitaya Ho Ga

Jahan Uss Nain B Mera Ziker Suna Ho Ga Kisi Se

Us Ki Ankhon Main Tufaan Ashkon Ka Aaya Ho Ga

Raaton Ko Uss Ko B Meri Tarha Neend Na Aati Ho Gi

Uss Ne B Takeay Ko Roz  Seenai Se Lagaea Ho Ga

Ho Ke  Gum Yadon Main Uss Nain B Meri Tarha

Meri Tasweer Ko  Ashkon  Say Nehlaea Ho ga

Pocha Ho Ga Jo Kisi Nain Uss K Ronain Ka Sababb

Uss Nai B Meri Tara Hans Hans K Chupaya Ho Ga

Uss Ke Dil Ko Bhi Kahin Aur Na Milta Ho Ga Sukoon

Uss Nain B Meri Tarha Pyaar Ko Nibhaya Ho Ga

Akeli Rooti Ho Gi Raaton Ko Woh Bhi Meri Tarha

Uss K Saath B Bepanah Pyaar Ka Saaya Ho Ga

Zindgi Uss Ki Bhi Jahanam  ki Tarha Guzarti  Ho Gi

Uss Nain B Har Dukh Ko Sene Mai Chupaya Ho Ga

Uss Ki Ruh B Mere Pyaar Ki Piaasi Ho Gi Meri Tarha

Sukoon Uss Nain B Bina Mere Nahin Paayaa Ho Ga

Akeli Raaton Ko Wo B Karti Ho Gi Taaron Se Batain

Ussay B Dard E Muhobat Nain Raaton Ko Jagaya Ho Ga

Senain Se Laga Ke Rakhin Hon Gi Sab Tasweerain Meri

Sabrina Nai B Anjum Ki Tarha Kuch Na Jlaaya Ho Ga.




TERE SIWA KUCH BHI NAHIN

Socha Nahi Achaa Buraa, Dekha Suna Kuch Bhi Nahi.
Manga Khuda Say Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi.

Socha Tujhe, Dekha Tujhe,Chaha Tujhe, Puja Tujhe.
Meri Khata Hai Meri Wafa, Teri Khata Kuch Bhi Nahi.

Jis Par Hamari Aankho Ne, Moote Bechaye Raat Bhar.
Bheja Wohi Khat Usey, Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi.



 
SEEK NOT ANJUM'S HEART

Oh gentle winds 'neath moonlit skies,

Do not you hear my heartfelt cries?

Below the branches, here about,

Do not you sense my fear and doubt?


Side glistening rivers, sparkling streams,

Do not you hear my woeful screams?

Upon the meadows, touched with dew,

Do not you see my hearts a'skew?

Beneath the thousand twinkling stars,

Do not you feel my jagged scars?

Seek not my mournful heart kind breeze,

For you'll not find it 'mongst these trees.

It's scattered 'cross the moonlit skies,

Accompanied by heartfelt sighs.

It's drifting o're the gentle rain,

A symbol of my silent pain.

It's buried 'neath the meadow fair,

Conjoined with all the sorrow there.

It's lost among the stars this night,

Too far to ease my quiet fright.

No gentle winds, seek not my heart,

For simply ... it has torn apart




MAANA KE...

 
Maana ke main lafzon main kabhi ezhaar nahin karta

Iska Matlab Ye Nahi Ke Mein Tujhe Pyaar Nahi Karta

Chahta hun main tuje aaj bhi dil ki gehraeon se jaan

Tu mera dil meri ruh meri jaan main inkaar nahi karta

Tamasha na ban jaaye kahin mohabbat meri ay jaan

Esi liay main apni aankhon ko bhi namdaar nahi karta

Jo kuch milaa hai muj ko ye he tha kismat main meri

Khuda se aur us ki khudae se main takraar nahi karta

Kuch to baat hai khas tuj main tere pyaar main jaan

Warna main tujh se dewano ki tara pyaar nahin karta

Nafrat si ho gaee hai esse muhabot ke naam se jaan

Warna Anjum tum se milne se kabi inkaar nahi karta



 

KOI GILA NAHIN

Apnain  Dilbar  Say  Na  Hum Koi Gilaa Rakhain Gain
Wafa  Karain  Gain  Na  Shart -E- Wafa Rakhain Gain

Na  Dikhain  Gain  Kabhi  Dil Pay  Lage Zakhm Unhain
Dard  Uthay  Ga  Magar  Dard  Ko Daba Rakhain Gain

Jaan Day Daingain Agar Aik Ishaara Kar Day Gi Jaan
Ham Ussay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gain

Sab  Hataa  Daingain  Teri Raah  Say  Kantay Hamdam
Dil  Kay  Darwazay  Ko  Har Waqt Khula Rakhain Gain

Unki Har Baat Ko  Bhoolay Say Na Bhoolain Gain Kabhi
Unki Yadon Ko Har Wakat Senay Se Laga Rakhain Gain

Tootnain Nahin Dain Geay Umeed  Tere Aanay Ki Kabhi
Tayri Yaad Ka Diya Hawaon Main Bi Jala Rakhain Gain




 
YAAR AUR USS KI WAFA

zaindagi ka tha ek he arman tha wo b pora na hosaka
ham to nibhaee muhabat par wo muhabat na kar saka
 
sachai say ishq kya dil o jaan say ki muhobat ham ne
baywafa nikla mayra yaar koi wada wafa na kar saka

mohabat kar to li uss ne laikn uss say nibaahi na gaee
mujay jaan jaan kehnain wala na rasmon say lar saka

sanam  ki kurbat kay  bagair jeena hay bahot mushkil
Anjum b ek pagal hay apnain  dil ko apna na kar saka

zamana to zamana thay chaand sitaray b apnain saath
halaat say larnain wala pagal  na kismat say lar sakka





YE JO ZINDGI KI KITAAB HAI

ye jo zindagi ki kitab hai
ye kitab bhi kiya kitab hai
kahein aik haseen sa khuaab hai
kahein jaan lewa azab hai

kahein ansoon ki hai dastan
kahein muskurahatoon ka bayan
kai chahray is main chupay hoey
aik ajeeb se ye naqab hai

kahein khhoo diya kahein pa'liya
kahein roo liya kahein ga'liya
kahein chhen laytay hain har khushi
kahein maharban bay hisaab hai
 
kahein chhaoon hai kahein dhoop hai
kahein aur hi koi roop hai
kahein barkatoon ki hain barishain
kahein tashingee bay hisaab hai




Ye Zaroori To Nahin !

Is dunya ki bheer main koi tanha na ho
Yeh zaroori to nahin

Hanste laboon ke peche koi siski na ho

Yeh zaroori to nahin

Muskurati ankhoon ke peeche koi ansoo na ho
Yeh zaroori to nahin

Yeh dil under se tute aur chanak bahar bi sunai de
Yeh zaroori to nahin

Hum ander se jal jain aur dhuaan baher bi dikhai de
Yeh zaroori to nahin




Haqeekat..


Na koi afsana na he koi kahani
Aap ko sab sach suna dete hain


Jab behne lagain ankhon se ansu
Ham en ankhon ko sula dete hain


Dard e dil jab had se guzar jaey
Ham ghamo per muskura dete hain


Yaar deta hai sirif zakham hamin
Aur ham badle mai duaa dete hain


Jab bhi yaar ki surat nazar aeay
Ham sab ghamo ko bhula dete hain


Ham ban jate hain bilkul anjan
Jab dost hamain dagaa dete hain


Hham to na bhool sake apna pyar
Janai loog kese bhula dete hain


Tarpaate hain rulate hain hamain
Ese wo waffaon ka sila dete hain


Zamane main karain ruswa hamain
Ham esi ruswaian bhula dete hain


Kehte hain jee lain ge bina yaar
Phir ye he baat bhula dete hain


Yaar ki yaadon ki jab bharke aag
Mere apne ese aur hawa dete hain

Jaan! jaan! jaan! Anjum meri jaan
Wo likhte hain aur mita dete hain




Body Without Soul

I'm just like the boat without rudder

I'm just like the book without reader

Without you,

I'm just like the guitar without strings

I'm just like the bird without its wings

Without you,

I'm just like the poem without words

I'm just like the artery without blood

Without you,

I'm just like the spring without flower

I'm just like the fish without water

Without you,

I'm just like the night without moonlight

I'm just like the moon without sunlight

Without you,

I'm just like the kingdom without king

I'm just like the year without spring

Without you,

I'm just like the body without soul

I'm just like the race without goal

Without you,

I'm just like thepen  without writer

I'm just like the speech without listener

Without you,

I'm just like the soldier without gun

I'm just like the whole day without sun

Without you,

I'm just like the song without music

I'm just like the heart without lovesick

Without you,

I'm just like the temple without symbol

I'm just like the saint without miracle

Without you my jaan sabrina! Anjum is simply dead.


::. Jaanleva Muhobat ::.
 
 
 
 
 



ANJUM