:: Pakistan :: Islam :: Welfare :: Kindness :: Education :: Power :: Beauty :: Bravery :: Love ::
          

 



Aaj ghazab ka udas hai dil. Aisa lagta hai jaisey saarey zamaney ki wehshat seeney mein utar aaye hai. Palkon par garam aansoyon ki chubhan mehsoos ho rahe hai, mager koi aisa humnawa ya humsukhan nahin jis ke kandhey pe sar rakh ke dil ka bojh halka kar sakein. Aasman ki taraf nigah uthai to dil mein dard ki tees si utthi, keh humari manajaat aur mohabbatein apni jagah, mager Mailk aaj tujh se bhi shikwa karna hai hamain. Yeh baat sochi hi thi keh chehra ashkon sey tar ho gaya aur zabaan par harf~e~dua aa gaya. Aankhain moond leein tu ik khuwahish~e~natamam poori hoi aur ankhuun k samnay Khana~e~Khuda agaya... aur wahin harf~e~dua rawaan hoi...

Meray mola, tu Rehmaan~o~Raheem hai, mager teri rehmat kis kader laparwah hai humarey dard aur takleef se! Tu Rabb~ul~Mashrikaain~o~Maghribain hai mager teri Rabbubiyat hamarey chotey se daman aur dil ko sair karne se kaasir kyun hai? Tu Kahaar~o~Jabbar hai, mager tera keher un tak nahin pohunchta jo hamarey dil aur rooh ko azaar pohunchaatey hain? Tu humaree shehragh se bhi zayada kareeb hai, mager hamarey seeney ke is namukhtatum karb se na aashna kaisey hai? Tu mushkil kusha hai, mager humaree namaz~e~shab ki duaaon ko qabooliyat nahin bakhsta. Hum ne tujh hi se manga, teri hi taraf raj'uu kiya aur mayoosi mein bhi tujh hi se shikwa kiya, phir tu hamaree khaber kyun nahin laita? Lakh chotey barey gunah daman mein jamah hain, mager ussi daghdaar daman mein teri mohabbat aur bandgi se bharra dil bhi to hai. Ager hamari sarkashi aur nafarmani teri narazgi ka sabab hain to iss rooh mein yeh bekali aur jawani mein ebaadat ka showk teray kurb ki wajah kyun nahin? Jab log humaree dunya dari ki baat kartey hain to tu humaree manajaat aur aansooyon ka hisaab kyun nahin karta. Jab humarey laghzishion ka shumaar hota hai to humaree choti choti naikiyan aur nakarda gunah kyun nahin ginay jaatey?

Mola humara sabr kam, himmat mehdood aur imaan kamzor hai, phir bhi teri bargah mein hath utha ke dua aur astaghfar kartey hain. Koi kya hamnawa ho ga hamara, jo na hamarey dard se wakif hai aur na khwahishon se. Tu humain humari tamaam kamzoriyon ke saath janney aur chahney waala hai. Hum kaisey tujh se shikayat na karein aur kaisey rehmat ki umeed chor dain. Jab jab dil bojhal hota hai to teri bargaah mein ro lainey se jaane kitna hosla buland hota hai. Jab tak Tu hamaree faryad nahin sunay ga, hum teray dar par rotey rahein gey. Jo duaaein kabool ho gayien unka shukr bhi ada karein gey, aur apni namukhtatam khwahishaat ka izhaar bhi karein gey. Meray Maalik apne bandon ke haal pe reham kar aur humaree khaber laiy. Duayon ka silsila ab hamari sanson ke sath hi tootey ga. Yeh aansoo tab hi rukain gey jab aankhain band ho jain gi. Tab bhi shayed rooh ka koi pashimaan gosha takleef aur soz mein sulaghta rahey ga, keh ebadat~o~manajat ke liye humain waqt kam mila, humarey Khuda ne humain dunya ke kamon mein uljha diya aur jo haq tha tera who hum ada na kar paye! Abhi jaane kitne saal hain wisaal mein, jab hum bheegi palkon se tujhe pukarein gey aur teray kurb ki raah dekhain gey.


Hum tujh se kitna pyar kartey hain mager dil dukhta hai yeh soch ke keh jaane kabhi hum bhi tujhe azeez hon gey ya humara shumaar bhi lakhon gunahgaron mein ho ga! Meray mola, teray hotey huay hum tanha hain, teri rehmat ke bawajood hum badhaal hain aur teri sunwaii ke baghair hum bebas. Malik humari khaber lai aur humarey gunah mauf kar dai. Humaree mushkilain aasan kar aur humain apne khas emaan waaley bandon mein shumaar kar. Humain buraiyon aur llaghzishon se duur kar aur naiki aur ebadat ki taufeeq ata kar. Humain deen dunya aur akhirat mein surkhrooh kar aur apna farma bardar banda bana. Malik humain rah e mustakeem par qaim rakh aur badi ki taraf bhatakne se bacha. Aye faryad ras, hamaree duayein qabool farma aur hamaree manajaat qabool farma. Ameen...

.::

.::

.::

.::

.::

.::

.::

.::



O Allah! I Ask oF You

O Allah! I ask of You integrity and soundness in my religion, my life, my family, and my possessions.

O Allah! Cover my shame, pacify my fears, guard me from what is in front of me and behind me, from what is on my right and on my left, over my head and under my feet.

O Allah! Grant health to my body. O Allah grant health to my hearing. O Allah! Grant health to my sight. There is no deity except You.

O Allah! I seek refuge in You from unbelief and poverty, and from the punishment of the grave. There is no Deity except You.

O Allah! You are my Lord. There is no deity except You. You are my Creator and I am your creature. I try to keep my covenant with You and to live in the hope of Your promise as well as I can. I seek refuge in You from my one evil deeds. I acknowledge Your favours to me; and I acknowledge my sins. Forgive me my sins, for there is no one who can forgive sins except You.

O Allah! I seek refuge in You from worry and sorrow. I seek refuge in You from impotence and sloth, from stinginess and cowardice, and I seek refuge in You from the burden of debt and from being humbled be men.

O Allah! Make the beginning of this day good, the middle prosperous, and the end successful. I ask You to grant me the good of this world and of the Hereafter, O Most Merciful of all Who show us mercy!

O Allah! I ask you to make me pleased with what You decreed for me return to good life after death, and I earnestly seek the pleasure of looking at Your Glorious Countenance and the craving to meet you, without distress or affliction or misguiding trial. I seek refuge in You from oppressing others or being oppressed, from doing wrong or suffering wrong, and from committing an error or a sin, which you will not forgive.

O Allah! I seek refuge in You from the feebleness of old age. O Allah! Guide me to the best of deeds and the best of morals, as none can guide to the best except You, and save me from bad deeds, as none can save me from what is bad except You. O Allah! Strengthen my faith, expand my living space and bless me in my livelihood.

O Allah! I seek refuge in You from negligence, degradation and destitution; I seek refuge in You from unbelief, wickedness, vanity and show; and I seek refuge in You from blindness, deafness and leprosy and bad diseases.

O Allah! Give my soul piety and my conscience purity. You are the Master of my soul and the Guardian of my conscience.

O Allah! I seek refuge in You from a knowledge, which does not benefit, from a heart, which does not tremble, from an ego, which is not stated, and from a supplication, which is not accepted.

O Allah! I seek refuge in You from the evil of what I did and from the evil of what I did not do; from the evil of what I know and from the evil of what I did not know.

O Allah! I seek refuge in You from a decline in Your favour, from a change in Your protection, from Your sudden punishment and all Your displeasure.

AMEEN


«•´¨*•.¸¸.*¤~*S*~¤*.¸¸.•*¨`•»
«•´`•.¸.•´.•*•.`•.¸.•´`•»
*(¨`•A•´¨)*
`•.¸.•´
.•*
*•.
.•*
*•.
*

ANJUM